Introduction to English Course

Once you learn Alphabet sounds it becomes easier for you to understand how and why some grammar rules apply to different sounds.

Salaam Namaste doston

Welcome friends to the Easy English Learning Course

Mujhe badi khushi ho rahi hai aap ko yaha dekh kar

Kyon ki yeh Aap ka English seekhne ka irada ab result mein badal raha hai aur yeh bus pehla kadam hai

Aaj se shuru hota hai aapka safar jis mei aap seekhenge English bol chal ke patth  aur sabaq

In video lessons ko aaram se seekhna aur phir se dohrana. Video hai bhai jitni baar dekhna chahe utni baar dekh sakte hai. Tachnology ka yehi toh faida hai

Maine saath mei kucch exercise yaani abhyas ya mashq bhi rakhe hai. Woh zaroor karey. Aur kucch notes bhi banaye hai woh zaroor padhna.

Ab humne padhai shuru kar di hai toh hummey yeh apne aap se vaada karna hai ki hum issey poora zaroor karegey.

Chaliye hum waqt na barbaad karte huay chalte hai hamaray pehle sabaq ki taraf

दोस्तों इंग्लिश स्पीकिंग के पहले लेसन में आपका स्वागत है।

Video Given below: नीचे वीडियो दिया गया है। अगर नहीं दिख रहा तोह यह यूट्यूब का लिंक कॉपी कीजिये या क्लिक कीजिये

click: https://youtu.be/UnrstIhrfcM

https://youtu.be/UnrstIhrfcM

Alphabet sounds contribute to the pronunciation of the word. These sounds can be divided into two categories like in most languages. These are consonants and vowels. In Hindi we can call them swar i.e. vowel and vyanjan i.e. consonants. Together consonants and vowels make syllables so that the letter can make a proper sound.

If we talk about vowel sounds and consonant sounds then you will be surprised to know there are total 44 sounds in the English alphabet. There are 20 vowel sounds and 24 consonant sounds. There is a complete separate lesson for sounds.

By itself a consonant only represents a sound. For example -b-. B only represents the sound B, but for it to become a syllable it needs a vowel. Add a vowel AEIOU for B to make an alphabet sound. So BA, BE, BI, BO and BU. Similarly with other consonants the vowels join together and make syllables. These syllables are joined to make words. Remember words are not just sounds but sounds that make sense. So BA+T becomes bat which is a word in English language. BE+R becomes ber, but there is no such word in English.

Welcome Friends to your first lesson

Aap ka pehla lesson hai sounds yaani awaaz.

Koi bhi awaaz nahi - hamarey muh se jo nikalne wali awaaz.

Hum tarah tarah ki awaaz muh se nikaal sakte hai - aur ussi awaz se hum lafz ya shabd bana sakte hai.

Hammey pata hai ke china mei chin, dan, puk jaise lafz aur naam bhi hai aur tumhe yeh sun ke taajub hoga ke africa mei log tch, khick  aur tok ko bhi istemaal karte hai

 Ek baat itihaas ya taarikh ke lihaaz se samajhna bahut zaroori hai - aur woh hai ki zabaan, bhasha ya language pehle boli jaati thi phir woh likhi aur padhi jaaney lagi

Jab likhi jaane lagi toh usko symbols ya prateek, lacchan ya alamat ki zaroorat padine lagi

English mein symbols ya alphabets yeh hai.

Nahi Mein basic abc nahi sikha raha, yeh tumhe aana chahiye

Par tumharay samajh ke liye hai ki yeh jo letters hai

Jisse akshar kehte hai hindi mein aur urdu mein harf

Sounds by Letters

Yeh sabhi zabaan mein istemaal hote hai ek symbol, ek nishan ke taur se. yeh ek nishani ek awaaz ke liye hai.

Jaise A se aa अ

B se ba ब

C se ca awaaz likhne ke lye jaise CAT

IN MEIN SE KUCCH harf / shabd ko kehte hai vowels aur who hai A E I O U

Vowels joh hai woh hindi ke a aa e ee u oo ke muqable hai. 

In paanch aksharo ko nikaal de toh job hi bacch jaye usey kehte hai consonants.

Yeh hai B C D F G H K J K L M N P Q R S T V W X Y Z

VOWELS  istemaal kiye jaate hai doosre harf ko jodne mein

Jaise hum agar likhe Ahmad

A + H + M + A + D

Hindi mei

Urdu mein

Toh pata chala ki vowel matra ya harkaat ka kaam karte hai

READ THE WORDS combined with vowels

Bina vowels ke english ke words ya shabd pata he nahi chalega 

Yeh B D B L kya hai kucch bhi ho sakta hai

Hindi ya urdu mei kucch mainey nikal aa gaye hote par English mei kucch nahi jab tak ke mei in mei vowel nahi daal ta

Waise hi agar B aur T letters saath mei rakhe jaye toh koi matlab nahi. Par beech mei agar vowel daal de toh kya farak padega khud he dekh lo

Bat 

Bet

Bit

Bot

But

Upar Diya hua har shabd / Luvs ka apna alag matlab hai 

Vowel se English alphabet mei jaan aa ajati hai

In ka normal istemaal yeh hai

A = ae ki awaaz

Bat …

Apple

Aur a ki awaz bhi jaisay 

Bar car

E = yaani ae ki awaz

Bell …

Aur e ki awaz jaisa 

Be

I = e ki awaz

Sit …

Aur I ki awaz jaisa

Ice

O ki awaz o aati hai

Doll 

Oo se food bhi hota hai, fool bhi aur foot bhi

Aur 

U ki awaz u

Umbrella

Hut

Aur you ki awaz 

Jaise University

You ne ver sity

Consonants ki awaz

B C D F G H J K L M N P Q R S T V W X Y Z 

Consonants ki awaz

B as in ball

C as is cat or cent

D as in doll, Dog

F = Fig

G as in goat or gel, G = Gag

H = hall, Hat

I = ice cream fire or fit or fir

J as in Jar, Jug

K as in kite

L = Lamp

M = Man, map

N = Nest, Nap

O as in orange for bore oo

P = Parrot, Pan

Q = Queen

R = Rat

S = Star

T = Tiger

V = Van

W = Watch

X = Xylophone

Y = Yak

Z = Zebra

https://youtu.be/UPLL06PBVAs?si=52oGXik56hAChiyw
https://youtu.be/dO8-EkSnVDs?si=IAt2rt1O6rBu20kc
Foundation English Course

Next: Phonetic Sounds of Vowels

After that: English Phonetic Consonant Sounds Explained in Detail

Popular Posts